Friday 29 October 2010

Bhai DoojBhai ke prati Bahan ke sneh ko abhivyakti karne wala tyohar

Bhai DoojBhai ke prati Bahan ke sneh ko abhivyakti karne wala tyohar Bhai Dooj Hindu Panchang ke anusar Kartik Maas ke Shukl Paksh ki Dvitiya tithi ko manaya jata hai. Pauranik manyatanusar isi din Bhagvan Suryadev ke purtra aur Yampuri ke swami Yamraaj apni bahan Yamuna ke dwara baar-baar nivedan karne par uske ghar aaye the aur is suavsar par unki bahan Yamuna ne bhav-vibhor hokar unka bhavya swagat kiya tha. Is par khush hokar Yamraj ne unhe vardan diya ki jo is din Yamuna me snaan karke bhai-bahan ke is pavitra parv ko manayega, wah mere bhay se mukt ho jayega. Isi din se bhai-bahan ke sneh ko darshane wala yah tyohar pratyek saal Bhai Dooj ke roop me manaya jane laga. Is mahaparv ko Yam Dvitiya ke naam se bhi jana jata hai. Bhai Bahan ka yah pavitra tyohar Braj sahit pure Bharatvarsh me dhoomdham se manaya jata hai.
Is pavan divas par Bhai-Bahan subah-subah snaan karte hain aur naye-naye kapde pahante hain. Uske baad bahan apne bhai ki hatheli par chaval ka ghol lagati hain aur fir sindoor lagakar Kaddu ke phool, paan, supari aur mudra aadi rakhkar mantra padhte huye uske hatho ki pooja karti hain aur apne bhai ki lambi umra ke liyie Bhagvan se prarthana karti hai. Tatpashchat Bhai apni bahan ko kuchh bhent pradan karte hain. Is din bahan ke ghar bhojan karne ka vishesh mahtva hota hai.

No comments:

Post a Comment